Bilkul sahi kaha aapne. Vaibhav jab tak vanwas me tha tab tak wo murari aur uske ghar tak hi seemit rah gaya tha. Anuradha par usne shuruaat me try karne ka socha tha lekin jald hi uska mood badal gaya tha uske baad usne jo kuch Anuradha ke bare me socha dekha aur feel kiya usse wo ek alag hi tarah nazar aane laga tha. Uske baad jab wo waapas haweli lauta to alag hi maamle me fans gaya. Idhar Anuradha ki baato ne use aahat kiya aur fir wo chandanpur pahuch gaya jaha par ek se badh kar ek husn uski nazar me aa gaye jinhe dekh kar uske andar ka hawsi vaibhav fir se jaag utha....
Ragini sushma ki bhatiji nahi nanad lagti hai. Sushma ki shadi huye abhi ek saal hi hua hai. Ek tarah se aap ye bhi kah sakte hain ki sushma ki umar zyada nahi hai....
Kahani me kamini ki bhumika ke bare me abhi kuch socha nahi hai, baaki dekhiye kaise halaat bante hain....
Waise kamini vaibhav ke liye sahi ladki nahi hai...aur ye baat vaibhav khud bhi achhi tarah samajhta hai. So usse shadi karne ka wo sochega hi nahi. Dada thakur agar chaahe bhi to sambhav nahi kyoki vaibhav jo bhi karega apni marzi se karega. Ye alag baat hai ki halaat aise ban jaaye jaha vaibhav ko kamini se shadi karna ek majburi ban jaye...
Wo kahte hain na ki Dilli bhi bahut door hai so itna aage kya abhi kyo sochna. Abhi to yahi ek bada sawaal hai ki kya in dono ke beech prem sambandh ho sakega.???
Ab ye to aane wala samay hi batayega ki kise kya pata hai aur kaun kya kar raha hai...
Dhananjay jaisa inspector khud confusion ka shikaar hai ki safedposh usse aisa kyo karwana chaahta tha? Aakhir uske aisa kahne aur karne se use kya faayda hoga? Baaki aage pata chalega...
Sahi kaha ek reason ye bhi ho sakta hai... :approve:
Safedposh ke aisa karne ka asli maksad baad me pata chalega...

Ragini bhabhi se apne ko koi prem nahi hai dost. Maine us din aapko clearly bataya tha ki jo koi bhi ye khel khel raha hai usme Ragini ka ya uske maayke walo ka koi sambandh nahi hai aur is baat ko clear bata dene ka mera ek hi maksad tha ki aap maamle me bhatke nahi. Yu samajhiye ki saara chakkar isi gaav se sambandhit hai....
Sahi kaha, vaibhav ki gair maujoodgi me dada thakur ne Shera ko jo kaam saupa hai usi me asli daromadaar hai. Ab dekhna ye hai ki Shera apne kaam me safal hota hai ya wo khud hi kaal ka graas ban jata hai....
Shukriya Death Kiñg bhai aisi shandaar sameeksha ke liye :hug: